Free Web hosting in Hindi


https://www.000webhost.com/895768.html



Hello Friends !!
Aaj me aapko btaunga ki "Free web Hosting" ka fayda aap kha se le sakte hai.
Ye un logo ke liye shandar chiz hai jo Students hai or jo Blogging karna ya website banana sikh rahe hai.

Aap  000webhost. Com ka use kar sakte hai ye un websites me se hai jo users ko free web hosting Provide karati hai.
Lekin agar aap blogging me bahut kuch sikh chuke hai and apna ek permanent blog banane ja rhe hai to me apko suggestion dunga ki kisi dusri Hosting service ka use kare jo paise leti ho and achhi services provide karvati ho...
Kyu ki free hosting websites utni trustful nahi hoti hai. Inki "Term & Policy" ke according ye apka account kabhi bhi band kr sakti hai.
Or kayi bar to aesa hota hai ki agar apne free web hosting ka use karke website bnai jispar achhe visitors aane lage to apka account band kr diya jata hai and apko force kiya jata hai ki aap "Paid service" ka use kare..

Lekin dosto agar aap student hai ya kuch sikhna chahte hai to me apko suggestion dunga ki free web hosting ka hi use kare..Kyu ki jab free me sikhne ko mil raha hai to apne paise kyu Barbad karna...
Aap yha se sikh kar apna experience and knowledge bada sakte hai..

Dosto mene bhi is "Free web hosting" ka Fayda Liya hai and aap bhi le sakte hai
Chaliye me Apko batata hu iske basic  Features jo apko milenge iske free Plan me...

Services :

1) 1500 MB disk space : 
 Aesi space jaha ham apni website se related files save karke Rakhte hai..

2) 100 GB data transfer/month :

Jab bhi koi "User" hamari site access karta hai to hamari website ka page unke browser me open hota hai..jiska ek size hota hai.
jab user browser me website open karta hai to data download hota hai or iski ek limit hoti hai or ye limit vahi hai jiski ham bat kar rahe hai..
Agar bahut sare users apki website access karte hai and apki limit se jyada data download hota hai to "Hosting Provider" apke account ko kuch time ke liye Rok deta hai..
Isliye agar apki website Popular ho rahi hai to aap apne Hosting plan ko upgrade kar lijiye...


3) 5 Add-on Domains :

Yha par ham ek se jyada Domains ko ek hi Hosting Space me Host kar sakte hai...
For Example :
Agar apne koi Domain 'Www.Test.com' ke liye hosting Provider se Unlimited plan ki hosting le rakhi hai or apke pass koi dusra domain 'Www.test2.com' bhi hai to aap apne dono domains ko ek hi Hosting Account se host kar sakte hai.
Iske liye apko alag se hosting space lene ki jaruat nhi hai.


4) 5 Sub-domains : Sub-domains ki jarurat tab padti hai jab hamari website ek se jyada topics par bani hai..or ek Domain se information provide karvane me dikkate aa rahi ho
Or information effective tarike se ham user tak nahi pahucha pa rhe ho..
For Example :
Agar apki indor me ek Coaching Institute hai jiski 5 alag branches or hai..To apko ek hi website pr sabhi branches ke students ki information provide karane me problem hogi..
To hum 5 alag alag subdomains akh sakte hai...
Jese apki website ka name 'www.mycoaching.com' hai to ap
Branch1, Branch 2 , Branch 3 ke liye
Subdomain is type se rakhenge :

www.branch1.mycoaching.com
www.branch2.mycoaching.com
www.branch3.mycoaching.com

 Is type se aap alag alag branches ki website ko ek hi jagah se easily control kar skate hai..

5) 5 E-mail Addresses : vese to kisi domain ke liye hame Email adress banane ke liye hame hosting space cahiye hota hai jinpar aane vale emails ka data save rehta hai..
Kuch Domain registrars companies jese "Bigrock" unse domain lene par vo kuch keval Emails ke liye Additional webspace deti hai..jinse ham apne Domain ke liye Email Address bana sakte hai..

Agar apko ise or achhe se janna hai to niche di hui link pr click kare...
Aap yha se direct Signup karke bhi is service ka fayda le  sakte hai...

Best Of Luck Friends !!!

Apko post kaisi lagi...comment jarur kare and apna suggestion jarur de...!!

Thanks for Reading This !!


Oldest

1 comments:

Click here for comments
Unknown
admin
26 June 2016 at 12:14 ×

Thank for sharing this in understandable language...

Congrats bro Unknown you got PERTAMAX...! hehehehe...
Reply
avatar

Write for us

Write for us