5 better apps then whatsapp hindi



5 Better apps then whatsapp hindi



Better apps then whatsapp hindi – 

Hello friends !!
Apko to pata chal gaya hoga ki whatsapp ne encryption version india me launch kar diya hai.
Means ab ye application hamari country ke liye secure nahi hai and jald hi is par ban bhi lagne vala hai..
To ab kya ???
Kya hoga un lakho logo ka jo daily is application ka use karte hai..

Aaj me apko btaunga 5 aesi applications jo whatsapp se kahi jyada achhi hai and jyada features provide karvati hai..


1) Hike – Dosto hike whatsapp ke bad dusra sabse popular chat app hai and daily iske users badte hi jaa rahe hai
Isme whatsapp se kahi jyada quality features available hai..
Iski Voice calling quality bhi whatsapp se bhot achhi hai and ye 2G network par bhi shandar tarike se kam karti hai.
Isme bahut sare shandar stickers bhi available hai jo auto suggested hote hai.
Isme ek new feature aaya hai "Hike Direct" jo ki wifi ka use karke 100 meter ke area me chating feature provide karvata hai jo ki sabse jyada high speed se chalta hai.
Hike direct ki help se hum badi files minto me send kar skte hai...ek tarike se ye Xender ke features provide karvata hai..
Free hike messages bhi ek shandar feature hai jo hike provide karvata hai.hum jitna hike ka use karte hi free messages utne badte hai..
Sabse badi bat ye hai ki ye app "Made in India" hai means hum bina kuch paise diye iska use kar sakte hai and indirectly india ki growth me help kar sakte hai..


2) THREEMA –  Agar aap chat karne ke liye only 'Text images' and 'videos' ka use karte to ye app aapke liye ek achha option ho sakti hai.
Isme abhi tak Audio or other files send karne ka option nahi hai..
Ye app apki privacy ko achhe se manage karti hai kyu ki iske liye apko apna Email ya Phone No. Nhi dena hota hai..and ye ek secure app hai.

3) WICKER – wicker bhi ek shandar app hai kyu ki isme aap ko messages send karte hai un pr receive karne vale person ka koi control nhi rahta hai.
Aap apne messages ko send karne ke liye time set kar sakte hai..or yhi is app ka special feature hai.

4) SURESPOT – Agar aap apni chat me privacy ko jyada important dete hai to ye app bhi apke liye bahut hi useful hai..is app me new features add karne ka kam chal rha hai fir bhi aap 'Text images' and audio messages easily send kar sakte hai..
Is app me bhi apko account banane ke liye Email ya Contact no. Dene ki jarurat nhi hoti hai..

5) TELEGRAM – telegram bhi ek shandar app hai and iska sabse achha feature ye hai ki aap iska use Desktop par bhi kar sakte hai means apna kam karte huye bhi aap apne dosto ko reply kar sakte hai..
Agar apke pass smartphone nhi hai to ye app apke kam ki hai kyu ki ye windows and dusri platform par bhi kam karta hai...

Aapko post kaisi lagi...comment box me jarur likhe...

And agra apke pass bhi koi article hai to hamare sath share kijiye hum pasand aane par usee apke nam and photo ke sath yaha publish karenge.

Thanks.

Sharing is caring !!!
Previous
Next Post »

1 comments:

Click here for comments
Unknown
admin
26 June 2016 at 12:18 ×

Hike is soo wonderful app ; i use it

Congrats bro Unknown you got PERTAMAX...! hehehehe...
Reply
avatar

Write for us

Write for us